Ashk Mere Hain Magar Dida-e-nam Hai Us Ka

ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka

ye jo honTon pe tabassum hai karam hai us ka

an-kahi baat bhala likkhun to likkhun kaise

sade kaghaz pe koi raaz raqam hai us ka

fasle aise ki ek umr mein tai ho na saken

qurbaten aisi ki KHud mujh mein janam hai us ka

sang-o-ahan ka baDa shahr bhi virana lage

ye junun mera hai aur dasht-e-sitam hai us ka

dard ban kar mere sine mein paDa rahta hai

ye mera dil hai ki ek naqsh-e-qadam hai us ka?

ek tufan ki tarah kab se kinara-kash hai

phir bhi 'baqar' meri nazron mein bharam hai us ka

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Mere Hain Magar Dida-e-nam Hai Us Ka In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Ashk Mere Hain Magar Dida-e-nam Hai Us Ka is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Ashk Mere Hain Magar Dida-e-nam Hai Us Ka for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Ashk Mere Hain Magar Dida-e-nam Hai Us Ka in PDF.