Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe

aur koi jo sune KHun ke aansu roe

achchhi lagti hain magar hum ko tumhaari baaten

hum milen ya na milen phir bhi kabhi KHwabon mein

muskuraati hui aaengi hamari baaten

hae ab jin pe masarrat ka guman hota hai

ashk ban jaengi ek roz ye pyari baaten

yaad jab koi dilaega sar-e-sham tumhein

jagmaga uTThengi taron mein hamari baaten

un ko maghrur banaya hai baDi mushkil se

aaina ban ke rahen kash hamari baaten

milte milte yunhi begane se ho jaenge

dekhte dekhte kho jaengi sari baaten

wo bahut sochen taDap uTThin magar ai 'baqir'

yaad aain to na aain ye tumhaari baaten

(821) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe in PDF.