Badal Ke Rakh Denge Ye Tasawwur Ki Aadmi Ka Waqar Kya Hai

badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai

KHala mein wo chand nachta hai zaman makan ka hisar kya hai

bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain

hum ahl-e-dil ye samajh gae hain kashakash-e-rozgar kya hai

abhi na puchho ki lala-zaron se uTh raha hai dhuan wo kaisa

magar ye dekho ki phul banne ka aarzu-mand KHar kya hai

wahi bane dushman-e-tamanna jinhen sikhaya tha hum ne jina

agar ye puchhen to kis se puchhen ki dosti ka shiar kya hai

kabhi hai shabnam kabhi sharara falak se TuTa to ek tara

gham-e-mohabbat ke raazdaro ye gauhar-e-abdar kya hai

bahaar ki tum nai kali ho abhi abhi jhum kar khili ho

magar kabhi hum se yunhi puchho ki hasraton ka mazar kya hai

ba-in tabahi dikhae hum ne wo moajize aashiqi ke tum ko

ba-in adawat kabhi na kahna ki aap sa KHaksar kya hai

bane koi ilm o fan ka malik ki main hun rah-e-wafa ka salik

nahin hai shohrat ki fikr 'baqar' ghazal ka ek raazdar kya hai

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badal Ke Rakh Denge Ye Tasawwur Ki Aadmi Ka Waqar Kya Hai In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Badal Ke Rakh Denge Ye Tasawwur Ki Aadmi Ka Waqar Kya Hai is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Badal Ke Rakh Denge Ye Tasawwur Ki Aadmi Ka Waqar Kya Hai for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Badal Ke Rakh Denge Ye Tasawwur Ki Aadmi Ka Waqar Kya Hai in PDF.