Bahut Zi-fahm Hain Duniya Ko Lekin Kam Samajhte Hain!

bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!

ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain

hawaen tez-tar hain aaj baadal aane wale hain

taDapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain

zamin karwaT badalti hai nae rangon mein Dhalti hai

nujumi kis tarah duniya ke pech-o-KHam samajhte hain

falak ghaeb hua ye chand tare KHak-dan se hain

inhen bhi log ek duniya naya aalam samajhte hain

bahut dana-e-raaz aae hazaron nukta-dan aae

samajhne ke liye wo zindagi ko gham samajhte hain

hui taKHliq kaise aaj tak koi nahin samjha

nikale kab gae ye hazrat aadam samajhte hain

na koi ashk-shoi hai na chehra zard hai 'baqar'

hamari KHamushi ko phir bhi wo matam samajhte hain

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Zi-fahm Hain Duniya Ko Lekin Kam Samajhte Hain! In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Bahut Zi-fahm Hain Duniya Ko Lekin Kam Samajhte Hain! is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Bahut Zi-fahm Hain Duniya Ko Lekin Kam Samajhte Hain! for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Bahut Zi-fahm Hain Duniya Ko Lekin Kam Samajhte Hain! in PDF.