Bujhi Bujhi Hai Sada-e-naghma Kahin Kahin Hain Rabab Raushan

bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan

Thahar Thahar ke gire hain aansu bikhar bikhar ke hain KHwab raushan

sawal mabhut se khaDe hain ki jaise sinon mein dil nahin hain

ufuq ke us par ja ke dekho shikasta muztar jawab raushan

wo bekasi hai ki al-atash ki sadaen KHamosh ho gai hain

kahan hai koi husain yaro ki har taraf hai sarab raushan

ajib ghamnak hain hawaen lahu lahu hai faza-e-ganga

taDapti maujen shikasta kashti bujhe diye aur habab raushan

ghulam gardish mein hai andhera hai dam-ba-KHud surKH sa sawera

kafan pahan kar nikal chuke hain gharib 'baqar' nawab-raushan

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhi Bujhi Hai Sada-e-naghma Kahin Kahin Hain Rabab Raushan In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Bujhi Bujhi Hai Sada-e-naghma Kahin Kahin Hain Rabab Raushan is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Bujhi Bujhi Hai Sada-e-naghma Kahin Kahin Hain Rabab Raushan for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Bujhi Bujhi Hai Sada-e-naghma Kahin Kahin Hain Rabab Raushan in PDF.