Chaha Bahut Ki Ishq Ki Phir Ibtida Na Ho

chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho

ruswaiyon ki apni kahin intiha na ho

josh-e-wafa ka nam junun rakh diya gaya

ai dard aaj zabt-e-fughan se siwa na ho

ye gham nahin ki tera karam hum pe kyun nahin

ye to sitam hai tera kahin samna na ho

kahte hain ek shaKHs ki KHatir jiye to kya

achchha yunhi sahi to koi aasra na ho

ye ishq hadd-e-gham se guzar kar bhi raaz hai

is kashmakash mein hum sa koi mubtila na ho

is shahr mein hai kaun hamara tere siwa

ye kya ki tu bhi apna kabhi ham-nawa na ho

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaha Bahut Ki Ishq Ki Phir Ibtida Na Ho In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Chaha Bahut Ki Ishq Ki Phir Ibtida Na Ho is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Chaha Bahut Ki Ishq Ki Phir Ibtida Na Ho for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Chaha Bahut Ki Ishq Ki Phir Ibtida Na Ho in PDF.