Dushman-e-jaan Koi Bana Hi Nahin

dushman-e-jaan koi bana hi nahin

itne hum laiq-e-jafa hi nahin

aazma lo ki dil ko chain aae

ye na kahna kahin wafa hi nahin

hum pashiman hain wo bhi hairan hain

aisa tufan kabhi uTha hi nahin

jaane kyun un se milte rahte hain

KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin

tum ne ek dastan bana Dali

hum ne to raaz-e-gham kaha hi nahin

gham-gusar is tarah se milte hain

jaise duniya mein kuchh hua hi nahin

ai junun kaun si ye manzil hai

kya karen kuchh hamein pata hi nahin

maut ke din qarib aa pahunche

hae hum ne to kuchh kiya hi nahin

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman-e-jaan Koi Bana Hi Nahin In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Dushman-e-jaan Koi Bana Hi Nahin is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Dushman-e-jaan Koi Bana Hi Nahin for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Dushman-e-jaan Koi Bana Hi Nahin in PDF.