Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue

fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

na kam hua kisi manzil pe walwala dil ka

ye soch kar teri mahfil se hum chale aae

ki ek bar to baDh jae hausla dil ka

palaT ke ab na kabhi lucknow se guzrega

nikal gaya hai bahut dur qafila dil ka

harif-e-ishq koi ho harif-e-gham to nahin

kisi se ho na sakega muqabla dil ka

koi kisi ka nahin ham-zaban zamane mein

karen to kis se karen ja ke ab gila dil ka

shikast khane ka yara nahin pa kya kije

ek ajnabi se paDa hai muqabla dil ka

tumhaari nazr bhi lae jo hum to kya lae

zara sambhaal ke rakhna ye aabla dil ka

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue in PDF.