Gunjta Shahron Mein Tanhai Ka SannaTa To Hai

gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai

be-kasi ka ham-nawa ab tak wahi saya to hai

TuTti jati hain ummidon ki zanjiren magar

Thokaren khane ko majburi ka ek sahra to hai

chand kya niklega KHwabon ki andheri raat hai

dur tak tara KHayalon ka magar chamka to hai

buDhe sarkash zar-gari mein rahzanon ke sath hain

inqalab-e-nau ka wo pindar ab TuTa to hai

in KHatibon ka tilism-e-lan-tarani toD de

is hujum-e-be-nawayan mein koi aisa to hai

qissa-e-adam ki talKHi zindagi ke sath hai

jannaten lakhon bana kar aadmi tanha to hai

shor hai Dubin hazaron azmaten tariKH ki

kitni KHamoshi se bahta waqt ka dhaara to hai

muskura kar zer-e-lab shayad yahi kahte hain wo

lakh saudai sahi 'baqar' magar apna to hai

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gunjta Shahron Mein Tanhai Ka SannaTa To Hai In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Gunjta Shahron Mein Tanhai Ka SannaTa To Hai is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Gunjta Shahron Mein Tanhai Ka SannaTa To Hai for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Gunjta Shahron Mein Tanhai Ka SannaTa To Hai in PDF.