Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye

zarre ka raaz mehr ko samjhana chahiye

chhoTi si koi baat ho laD jaana chahiye

KHwabon ki ek naw samundar mein Dal ke

tufan ki mauj mauj se Takrana chahiye

har baat mein jo zahr ke nashtar lagae hain

aise hi dil-jalon se to yarana chahiye

kya zindagi se baDh ke jahannam nahin koi

ye sach hai phir to aag mein jal jaana chahiye

duniya wo shahrah hai bachna muhaal hai

pagDanDiyon ko DhunDh ke apnana chahiye

nazmen wo hon ki chiKH paDen sare ahl-e-fan

ninden uDa de sab ki wo afsana chahiye

bahron ko toD toD ke nale mein Dal do

bas dil ki lai mein fikr ko Dhal jaana chahiye

ye kahkashan bhi TuT ke ho misraon mein jazb

zehn-e-rasa ko itna to uljhana chahiye

hum 'ulysses' ban ke bahut ji chuke magar

yaro 'husain' ban ke bhi mar jaana chahiye

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye in PDF.