Dharti Ka Bojh

ek chahal-qadmi ke liye gali bani

samundar ke pas ye phulon ki kali bani

mein bhi bhule se yahan aa jata hun

meri umr chalne-phirne ghumne ki nahin hai

aurten bachche aur do ek buDhe bhi aate hain

main yunhi kachhwe ki chaal ki tarah

aahista aahista aaya tha

ek jhaDi ke pichhe do sae ham-aghosh the

ek ne ba-awaz-e-buland kaha:

kya tum ne is buDhe ko dekha?

hansne ki aawaz aai

ye buDha dharti ka bojh hai

main ne suna magar chup-chap chalta gaya

us ne shayad sahi kaha ye umr chalne-phirne ki nahin hai

magar main kya karun doctor ne mujhe sau qadam chalne ko kaha hai

main shurua se zindagi mein dharti ka bojh tha

main ne jawani kirm-e-kitabi ban ke guzari hai

main ne raaton ko jag jag kar paDha hai

zindagi mein ilm ki justuju sab kuchh nahin hai

ye mujhe tab malum hua jab main dharti ka bojh ban gaya tha

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dharti Ka Bojh In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Dharti Ka Bojh is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Dharti Ka Bojh for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Dharti Ka Bojh in PDF.