Bahut Hai Ek Nazar

qadam qadam pe mujhe ye KHayal aata hai

teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai!

KHizan mein rah ke bahaaron ki aarzu na karun

jo zaKHm-e-dil bhi mahak kar khile to kya kam hai!

hazar chaak hain daman-e-zindagi ke magar

jo ek chaak-e-gareban sile to kya kam hai!

tamam tera manazil se main guzar jaun

jo ek sham-e-mohabbat jale to kya kam hai!

wo git jo mere honTon pe aa nahin sakta

wo ashk-e-gham ke sahaare Dhale to kya kam hai!

rah-e-hayat mein diwangi ki manzil par

sambhal sambhal dil-e-nadan chale to kya kam hai!

ye gomti ye awadh ki hasin raqqasa

main sochta hun ise raaz-dan bana Dalun

faza pe surmai aanchal uDha ke dur talak

isi zamin pe naya aasman bana Dalun

ye mere ashk-e-mohabbat ke pasdar bhi hain

bahut hai ek nazar bhi jo gham ki mahram ho

main is nazar se naya aastan bana Dalun

qadam qadam pe mujhe ye KHayal aata hai

teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai!

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Hai Ek Nazar In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Bahut Hai Ek Nazar is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Bahut Hai Ek Nazar for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Bahut Hai Ek Nazar in PDF.