Lahron Ka Aatish-fishan

ye aansu be-sabab bante nahin hain

inhen tum sirf pani kah ke mat Talo

bahut se hadse aae magar ye tsunami-lahren

har aafat se aage hain hamare dil hila kar

aansuon ka sail ban kar bah raha hai

hazaron be-sahaara log

yun bhi marne wale the

magar zer-e-zamin pani samundar ki ye lahren

jism ke TukDe ko miTTi bana kar kha gai hain

jise sab zalzale ka nam dete hain

aaKHir samundar ki ye lahren zamin ko chaak kar ke aain hain

is tarah miTTi ko miTTi se milati hain

hamare ashk bahne do

ki gham har gam rag rag mein samaya hai

hamein gham tha hamari ibtida gham se hui thi

aur intiha bhi gham hai

magar ye aansuon ka sail bahne do

ki shayad kuchh sakun mil jae

mere dida-e-bina ko aaKHiri lamhe

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahron Ka Aatish-fishan In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Lahron Ka Aatish-fishan is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Lahron Ka Aatish-fishan for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Lahron Ka Aatish-fishan in PDF.