Ai Kahkashan-nawaz Muqaddar Ujal De

ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de

meri taraf bhi ek sitara uchhaal de

hum pure aaftab ke qabil nahin agar

thoDi si pili dhup hi aankhon mein Dal de

han kahte kahte gung na ho jae dil kahin

yarab meri zaban ko tab-e-sawal de

rogi hua hai dhup ko tarsa hua badan

ai mamta suput ko ghar se nikal de

koi to doston se mere dosti kare

koi to mehrban ho balaon ko Tal de

tu lafz-gar to hai tujhe shair kahenge jab

ek be-zaban harf ko naghme mein Dhaal de

bijli ka tir jaise dhanak ki kaman mein

kya aur is shabab ki koi misal de

'baqar' is aaftab mein jauhar hai is qadar

aa jae josh mein to samundar ubaal de

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Kahkashan-nawaz Muqaddar Ujal De In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Ai Kahkashan-nawaz Muqaddar Ujal De is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Ai Kahkashan-nawaz Muqaddar Ujal De for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Ai Kahkashan-nawaz Muqaddar Ujal De in PDF.