Dawa Baghair Koi Tifl Mar Gaya To Kya Hua

dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua

bas ek phul hi to tha bikhar gaya to kya hua

kabhi kabhi to raushni bhi ek azab-e-jaan hui

wo chandni se teri kokh bhar gaya to kya hua

na raat hi sanwar gai na raushni hi mar gai

andheri bauli mein chand utar gaya to kya hua

kamal jugnuon ka tha ki raushni mein kho gae

fareb apne sae hi se Dar gaya to kya hua

mere liye to KHwab ek chashma-e-hayat tha

kisi ko KHwab KHwab tha bikhar gaya to kya hua

guzarte mausamon ke qafile to raundte rahe

gharib koi sahn se guzar gaya to kya hua

na main koi sawar hun na koi mal-dar hun

udhar raha to kya hua idhar gaya to kya hua

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dawa Baghair Koi Tifl Mar Gaya To Kya Hua In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Dawa Baghair Koi Tifl Mar Gaya To Kya Hua is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Dawa Baghair Koi Tifl Mar Gaya To Kya Hua for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Dawa Baghair Koi Tifl Mar Gaya To Kya Hua in PDF.