Kabhi To Yaad Ke Gul-dan Mein Sajaun Use

kabhi to yaad ke gul-dan mein sajaun use

kabhi wo samne bhi ho to bhul jaun use

khile jo hain meri shaKH-e-KHayal par kuchh gul

usi ka khel hai ye kis tarah bataun use

wo KHushbuon ki tarah aae aur uD jae

main kaise pairahan-e-zehn mein basaun use

pata to ho ki hai kya karb-e-zaKHm-e-nazzara

na dekhna jise chahe wahi dikhaun use

wo harf-e-soKHta sath-e-zaban tak aae to

main apne lahja-e-raushan se jagmagaun use

usi ke rang ka pahna agar libas to kya

usi ki tarz mein ab sher bhi sunaun use

agar hai ishq to phir aisa ishq ho 'baqar'

wo gungunae mujhe aur main gungunaun use

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Yaad Ke Gul-dan Mein Sajaun Use In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Kabhi To Yaad Ke Gul-dan Mein Sajaun Use is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Kabhi To Yaad Ke Gul-dan Mein Sajaun Use for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Kabhi To Yaad Ke Gul-dan Mein Sajaun Use in PDF.