Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De

khet se bach kar guzre basti ko virani de

wo dariya kya dariya jo sagar ko pani de

sher suna koi aisa jis se lage badan mein aag

nind uD jae jis se aisi koi kahani de

sukh rahe hain bagh-baghiche nahren ret huin

ai mausam ke malik ek mausam barani de

KHud banwae mahal do-mahle hum ko sunae hadis

KHud to pahne aba qaba hum ko uryani de

toD gai dam aaKHir pyasi raat amawas ki

pyare suraj ab to apne chand ko pani de

kaun sunega tera qissa rone-dhone ka

laila majnun shamil kar koi raja rani de

ab tak tum ne 'baqar' aise kaun se kaam kiye

kis ummid pe malik tum ko nai jawani de

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De in PDF.