Chhup Ke Nazron Se In Aankhon Ki Faramosh Ki Rah

chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah

ab jo aata hai kabhi dil mein to wo gosh ki rah

aage jun ashk wo rahta tha sada pahlu mein

kyun ab us tifl ne gum ki meri aaghosh ki rah

kyunke ponchhega wo aa kar mere aansu haihat

kuche sab ashk se gil hain nahin pa-posh ki rah

bhar safar nam japunga tera to rah kaTe

yun to tai hogi na us rah-raw-e-KHamosh ki rah

chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke

main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah

yun to aata nahin ai kash mere ghar koi

phere nashshe mein ghalat us but-e-mai-nosh ki rah

Das gain hae mere dil ke tain aaj 'baqa'

naginen zulf ki us sar se utar dosh ki rah

(596) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhup Ke Nazron Se In Aankhon Ki Faramosh Ki Rah In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Chhup Ke Nazron Se In Aankhon Ki Faramosh Ki Rah is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Chhup Ke Nazron Se In Aankhon Ki Faramosh Ki Rah for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Chhup Ke Nazron Se In Aankhon Ki Faramosh Ki Rah in PDF.