Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga

dast-e-naseh jo mere jeb ko is bar laga

phaDun aisa ki phir is mein na rahe tar laga

pahunchi us but ko KHabar nala-e-tanhai ki

muddai kaun khaDa tha sar-e-diwar laga

maraz-e-ishq tumhaara to ye tufan hai ki main

jis se mazkur kiya us ko ye aazar laga

jis ka mallah bana ishq wo kashti Dubi

us ke kehwe se to beDa na koi par laga

murgh-e-zirak the tah-e-dam na aae hargiz

uD gae hum sar-e-sayyad pe minqar laga

dard ye dil mein uTha raat ki ho garm-e-tapish

uD gaya sune falak mein par-e-ahrar laga

parda-e-KHak se di mujh ko kisi ne aawaz

gor hamwar thi sunne jo main yakbar laga

phir to ghaflat-zada ta-KHwab-e-adam hai yan tu

dekh le hum ko na Tuk dida-e-bedar laga

jab main dekhun hun to kasrat hai KHaridaron ki

ghar mein us ghairat-e-yusuf ke hai bazar laga

khinch pichhe ko qadam aah main yan tak roya

ki mere aage 'baqa' dur ka ek ambar laga

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga in PDF.