Han Miyan Sach Hai Tumhaari To Bala Hi Jaane

han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane

jo guzarti hai mere dil pe KHuda hi jaane

dil se nikle kahin pa-bosi-e-qatil ki hawas

kash wo KHun ko mere rang-e-hina hi jaane

dil ki washud pe abas aah ne khinchi taklif

kholne uqde to ghunchon ke saba hi jaane

roz-o-shab naza mein hai aashiq-e-chashm-o-lab-e-yar

na to jina hi wo samjhe na fana hi jaane

hum to nit dur se KHamyaza-kash-e-hasrat hain

lazzat-e-bos-o-kanar us ki haya hi jaane

tere bimar ko kya howe shifa jis ke tabib

na to kuchh dard ko samjhe na dawa hi jaane

puchh is dil se jo hai kaT tere abru ka

jauhar-e-burrash-e-shamshir sipahi jaane

apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye

aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane

taur par apne suKHan kaun bura kahta hai

par ye andaz jo puchho to 'baqa' hi jaane

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Han Miyan Sach Hai Tumhaari To Bala Hi Jaane In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Han Miyan Sach Hai Tumhaari To Bala Hi Jaane is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Han Miyan Sach Hai Tumhaari To Bala Hi Jaane for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Han Miyan Sach Hai Tumhaari To Bala Hi Jaane in PDF.