Is Lab Se Ras Na Chuse Qadah Aur Qadah Se Hum

is lab se ras na chuse qadah aur qadah se hum

to kyun mile subu se qadah aur qadah se hum

saqi na howe pas tu kab jura-e-sharab

shishe ke le gulu se qadah aur qadah se hum

baqi rahe na baada to us ke ewaz mein aab

le KHum ki shust-o-shu se qadah aur qadah se hum

gardish pe teri chashm ki bahse hai hum se yar

dawe ki guftugu se qadah aur qadah se hum

chashm apni Tuk dikha de use tu ki aawe baz

is bahs-e-du-ba-du se qadah aur qadah se hum

bosa tere dahan se ye hangam-e-mai-kashi

le hai kis aarzu se qadah aur qadah se hum

pate hain mai-kade mein 'baqa' neamat-e-sharab

KHum se sab subu subu se qadah aur qadah se hum

(722) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Is Lab Se Ras Na Chuse Qadah Aur Qadah Se Hum In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Is Lab Se Ras Na Chuse Qadah Aur Qadah Se Hum is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Is Lab Se Ras Na Chuse Qadah Aur Qadah Se Hum for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Is Lab Se Ras Na Chuse Qadah Aur Qadah Se Hum in PDF.