Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai

kal mai-kade ki jaanib aahang-e-mohtasib hai

darpesh mai-kashon ko phir jang-e-mohtasib hai

hota hai shisha-e-dil chur us ki guftugu se

yarab ye pand-e-naseh ya sang-e-mohtasib hai

munh surKH ho raha hai bim-e-mughan se us ka

jo kuchh hai rang-e-mina so rang-e-mohtasib hai

az-bas giran hai us par mina se mai ki qulqul

paDhna bhi chaar qul ka ab nang-e-mohtasib hai

hargiz 'baqa' na rahiyo daur-e-falak se ghafil

maston ki nit kamin mein sar-chang-e-mohtasib hai

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai in PDF.