Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par

rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par

sayyaad jis tarah se dhare dam dosh par

shane talak chaDhe bin ab aansu ko kab hai chain

sach hai ki howe tifl ko aaram dosh par

ek din mila jo shaiKH to phir mai-kashon ke sath

sar par liye phirega subu jam dosh par

milna to aaj bhi na hua shab ko aur uTha

ifa-e-wada ai but KHud-kaam dosh par

hai dil mein ghar ko shahar se sahra mein le chalen

uThwa ke aansuon se dar-o-baam dosh par

wo zisht-baKHt hun ki malaek ko bhi mere

likhne ka pesh aawe jo kuchh kaam dosh par

neki meri to nam badon ke karen raqam

zishti likhen badon ki mere nam dosh par

mutrib bachon ne shaiKH ko Tangiya liya tamam

li waqt-e-ja-e-KHilat-e-inam dosh par

Dala na bar-e-ishq zamin par 'baqa' ne yar

sar se agar gira to liya tham dosh par

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par in PDF.