Bahut Jaldi Thi Ghar Jaane Ki Lekin

bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin

mujhe phir sham raste mein paDi hai

nisab-e-zindagi jis mein likha hai

kitab-e-dil wo baste mein paDi hai

nahin arzan mata-e-raegani

magar mujh ko ye saste mein paDi hai

wo aise DhunDne nikle hain 'baqi'

mohabbat jaise raste mein paDi hai

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Jaldi Thi Ghar Jaane Ki Lekin In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Bahut Jaldi Thi Ghar Jaane Ki Lekin is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Bahut Jaldi Thi Ghar Jaane Ki Lekin for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Bahut Jaldi Thi Ghar Jaane Ki Lekin in PDF.