Dasht-o-dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati

dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati

ghar ki diwar thi diwar kahan tak jati

miT gai hasrat-e-didar bhi rafta rafta

hijr mein hasrat-e-didar kahan tak jati

thak gae honT tera nam bhi lete lete

ek hi lafz ki takrar kahan tak jati

laj rakhna thi masihai ki hum ko warna

dekhte lazzat-e-azar kahan tak jati

rahbar us ko sarabon mein liye phirte the

KHilqat-e-shahr thi bimar kahan tak jati

har taraf husn ke bazar lage the 'baqi'

har taraf chashm-e-KHaridar kahan tak jati

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-o-dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Dasht-o-dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Dasht-o-dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Dasht-o-dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati in PDF.