Mujhse BichhaD Ke Wo Bhi Pareshan Tha Bahut

mujh se bichhaD ke wo bhi pareshan tha bahut

jis ki nazar mein kaam ye aasan tha bahut

socha to be-KHulus thin sab us ki qurbaten

jis ke baghair ghar mera viran tha bahut

be-KHwab surKH aankhon ne sab kuchh bata diya

kal raat dil mein dard ka tufan tha bahut

ye kya kiya ki pyar ka izhaar kar diya

main apni is shikast pe hairan tha bahut

wahshat mein kyun kisi ke gareban ko dekhta

mere liye to apna gareban tha bahut

ab to koi tamanna hi 'baqi' nahin rahi

ye shahr-e-arzu kabhi gunjaan tha bahut

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse BichhaD Ke Wo Bhi Pareshan Tha Bahut In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Mujhse BichhaD Ke Wo Bhi Pareshan Tha Bahut is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Mujhse BichhaD Ke Wo Bhi Pareshan Tha Bahut for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Mujhse BichhaD Ke Wo Bhi Pareshan Tha Bahut in PDF.