Yun Sitamgar Nahin Hote Jaanan

yun sitamgar nahin hote jaanan

phul patthar nahin hote jaanan

kyun mere dil se kahin jate ho

ghar se be-ghar nahin hote jaanan

wasl ki shab jo karam tum ne kiye

kyun mukarrar nahin hote jaanan

hum tumhein but ki tarah pujte hain

phir bhi kafar nahin hote jaanan

gham ke dipak nahin jalte jab tak

dil munawwar nahin hote jaanan

hum to rahte hain tumhaari had mein

had se bahar nahin hote jaanan

ek jaise hain KHushi ke lamhe

dukh barabar nahin hote jaanan

is qadar KHun na bahana dil ka

dil samundar nahin hote jaanan

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Sitamgar Nahin Hote Jaanan In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Yun Sitamgar Nahin Hote Jaanan is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Yun Sitamgar Nahin Hote Jaanan for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Yun Sitamgar Nahin Hote Jaanan in PDF.