Aisa War PaDa Sar Ka

aisa war paDa sar ka

bhul gae rasta ghar ka

zist chali hai kis jaanib

le kasa kasa mar ka

kya kya rang badalta hai

wahshi apne andar ka

dil se nikal kar dekho to

kya aalam hai bahar ka

sar par Dali sarson ki

panw mein kanTa kikar ka

kaun sadaf ki baat kare

nam baDa hai gauhar ka

din hai sine ka ghaw

raat hai kanTa bistar ka

ab to wo ji sakta hai

jis ka dil ho patthar ka

chhoDo sher uTho 'baqi'

waqt hua hai daftar ka

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa War PaDa Sar Ka In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Aisa War PaDa Sar Ka is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Aisa War PaDa Sar Ka for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Aisa War PaDa Sar Ka in PDF.