Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho

kahta hai har makin se makan bolte raho

is chup mein bhi hai ji ka ziyan bolte raho

har yaad har KHayal hai lafzon ka silsila

ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho

mauj-e-sada-e-dil pe rawan hai hisar-e-zist

jis waqt tak hai munh mein zaban bolte raho

apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu

ho fasl-e-gul ki daur-e-KHizan bolte raho

qadmon pe bar hote hain sunsan raste

lamba safar hai ham-safaran bolte raho

hai zindagi bhi TuTa hua aaina to kya

tum bhi ba-tarz-e-shisha-garan bolte raho

'baqi' jo chup rahoge to uTThengi ungliyan

hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho in PDF.