KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein

KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein

udas phirte hain hum bairiyon ki chhanw mein

nazar nazar se nikalti hai dard ki Tisen

qadam qadam pe wo kanTe chubhe hain panw mein

har ek samt se uD uD ke ret aati hai

abhi hai zor wahi dasht ki hawaon mein

ghamon ki bhiD mein ummid ka wo aalam hai

ki jaise ek saKHi ho kai gadaon mein

abhi hai gosh bar-awaz ghar ka sannaTa

abhi koshish hai baDi dur ki sadaon mein

chale to hain kisi aahaT ka aasra le kar

bhaTak na jaen kahin ajnabi fazaon mein

dhuan dhuan si hai kheton ki chandni 'baqi'

ki aag shahr ki ab aa gai hai ganw mein

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein in PDF.