Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho

un ka ya apna tamasha dekho

jo dikhata hai zamana dekho

waqt ke pas hain kuchh taswiren

koi Duba hai ki ubhra dekho

rang sahil ka nikhar aaega

do ghaDi jaanib-e-dariya dekho

tilmila uTTha ghana sannaTa

phir koi nind se chaunka dekho

ham-safar ghair hue jate hain

fasla rah gaya kitna dekho

barf ho jata hai sadiyon ka lahu

ek Thahra hua lamha dekho

rang uDte hain tabassum ki tarah

aaina-KHanon ka dawa dekho

dil ki bigDi hui surat hai yahan

ab koi aur KHaraba dekho

ya kisi parde mein gum ho jao

ya uTha kar koi parda dekho

dosti KHun-e-jigar chahti hai

kaam mushkil hai to rasta dekho

sada kaghaz ki tarah dil chup hai

hasil-e-rang-e-tamanna dekho

yahi taskin ki surat hai to phir

chaar din gham ko bhi apna dekho

gham-gusaron ka sahaara kab tak

KHud pe bhi kar ke bharosa dekho

apni niyat pe na jao 'baqi'

ruKH zamane ki hawa ka dekho

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho in PDF.