Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi

wo nazar aaina-fitrat hi sahi

mujhe hairat hai to hairat hi sahi

zindagi dagh-e-mohabbat hi sahi

aap se dur ki nisbat hi sahi

tum na chaho to nahin kaT sakti

ek lamhe ki masafat hi sahi

dil mohabbat ki ada chahta hai

ek aansu dam-e-ruKHsat hi sahi

aab-e-haiwan bhi nahin mujh pe haram

zahr ki mujh ko zarurat hi sahi

apni taqdir mein sannaTa hai

ek hangame ki hasrat hi sahi

is qadar shor-e-tarab kya mani

jagne ki mujhe aadat hi sahi

bazm-e-rindan se talluq kaisa

aap ki mez pe sharbat hi sahi

hadd-e-manzil hai muqarrar 'baqi'

rahraw-e-shauq ko ujlat hi sahi

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi in PDF.