Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga

wo maqam-e-dil-o-jaan kya hoga

tu jahan aaKHiri parda hoga

manzilen rasta ban jati hain

DhunDne walon ne dekha hoga

sae mein baiThe hue sochte hain

kaun is dhup mein chalta hoga

teri har baat pe chup rahte hain

hum sa patthar bhi koi kya hoga

abhi dil par hain jahan ki nazren

aaina aur bhi dhundla hoga

raaz-e-sar-basta hai mahfil teri

jo samajh lega wo tanha hoga

is tarah qat-e-talluq na karo

is tarah aur bhi charcha hoga

baad muddat ke chale diwane

kya tere shahr ka naqsha hoga

sab ka munh takte hain yun hum jaise

koi to baat samajhta hoga

phul ye soch ke khil uThte hain

koi to dida-e-bina hoga

KHud se hum dur nikal aae hain

tere milne se bhi ab kya hoga

hum tera rasta takte honge

aur tu samne baiTha hoga

KHud ko yaad aane lage hum 'baqi'

phir kisi baat pe jhagDa hoga

(600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga in PDF.