BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani

aao bachcho git sunaen

git sunaen KHub hansaen

ek buDhiya ne chiDiya pali

nannhi-munni bholi-bhaali

buDhiya baiThi khir pakati

chiDiya us ko git sunati

ek din buDhiya bhuki aai

jaldi jaldi khir pakai

munh dho kar wo khane baiThi

chiDiya git sunane baiThi

buDhiya ne sab kuchh kha Dala

chiDiya ko bhuka hi Tala

chiDiya jab pinjre mein aai

bhuk se us ko nind na aai

chun-chun chun-chun kar ke roi

sari raat usi mein khoi

subh hui aur murgha bola

buDhiya ne jab pinjra khola

pyar se jab us ne chumkara

chiDiya ne chonchon se mara

buDhiya bhagi ghar mein aai

muTThi bhar kar dana lai

jab buDhiya ne dana khilaya

tab chiDiya ne git sunaya

(2516) Peoples Rate This

Barkat Ali Firaqi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani In English By Famous Poet Barkat Ali Firaqi. BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani is written by Barkat Ali Firaqi. Read famous Poem BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani for youth and Student by Barkat Ali Firaqi. Free Download BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani in PDF.