Tabish-e-husn Hijab-e-ruKH-e-pur-nur Nahin

tabish-e-husn hijab-e-ruKH-e-pur-nur nahin

raKHna-gar ho nigah-e-shauq to kuchh dur nahin

shab-e-furqat nazar aate nahin aasar-e-sahar

itni zulmat hai ruKH-e-shama pe bhi nur nahin

raaz-e-sar-basta-e-fitrat na khula hai na khule

main hun is sai mein masruf jo mashkur nahin

sarf-e-nairangi-e-nazzara hai KHud apna wajud

ain wahdat hai koi nazir-o-manzur nahin

nazar aata nahin go manzil-e-maqsad ka nishan

zauq-e-sadiq yahi kahta hai ki kuchh dur nahin

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tabish-e-husn Hijab-e-ruKH-e-pur-nur Nahin In English By Famous Poet Barq Dehlvi. Tabish-e-husn Hijab-e-ruKH-e-pur-nur Nahin is written by Barq Dehlvi. Read famous Poem Tabish-e-husn Hijab-e-ruKH-e-pur-nur Nahin for youth and Student by Barq Dehlvi. Free Download Tabish-e-husn Hijab-e-ruKH-e-pur-nur Nahin in PDF.