Hind Ke Jaan-baz Sipahi

sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan laDte hain

tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain

ek khate hain to do munh pe wahin jaDte hain

hashr kar dete hain barpa ye jahan aDte hain

josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah

KHun dushman ka baha dete hain pani ki tarah

jab baDhate hain qadam pichhe phir haTte hi nahin

hausle un ke jo baDhte hain to ghaTte hi nahin

dam-e-paikar harifon se ye kaTte hi nahin

ulTe qadmon pe bila fath palaTte hi nahin

hech hain un ke liye aahani diwaren bhi

rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi

jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain

misl-e-KHun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain

sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain

aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain

nikli hi paDti hain KHud myan se teghen un ki

DhunDhti apna muqabil hain nigahen un ki

khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai

dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai

KHun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai

maut ki god mein dushman ko aman milti hai

tegh ke ghaT utarta hai muqabil un ka

ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka

war bhule se bhi paDta nahin ochha un ka

hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka

jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka

maut bhi manti hai razm mein loha un ka

ran mein biphre hue sheron ki tarah laDte hain

saf kar dete hain jis saf pe ye ja paDte hain

munh pe talwar ki chaDhte hain sipar ki surat

tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat

hausle aur baDhati hai KHatar ki surat

maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat

chhalni ho jata hai zaKHmon se agar tan un ka

tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka

razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan

shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan

ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan

hath dikhlate hain jab paDta hai ghamsan ka ran

un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai

un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hind Ke Jaan-baz Sipahi In English By Famous Poet Barq Dehlvi. Hind Ke Jaan-baz Sipahi is written by Barq Dehlvi. Read famous Poem Hind Ke Jaan-baz Sipahi for youth and Student by Barq Dehlvi. Free Download Hind Ke Jaan-baz Sipahi in PDF.