Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai

shama bhi is safa se jalti hai

tere ruKH par nigah phisalti hai

KHak uDati hai ai saba meri

be-adab kis tarah se chalti hai

wo na aaya to jaan jaenge

kab tabiat meri bahalti hai

dil nikalta hai us ke gesu se

nagani dekho man ugalti hai

nigah-e-garm yar dekhe hai

kab kisi se ye aankh jalti hai

ek pari-ru pe 'barq' marta hun

jaan us par meri nikalti hai

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai In English By Famous Poet Barq Mirza Raza. Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai is written by Barq Mirza Raza. Read famous Poem Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai for youth and Student by Barq Mirza Raza. Free Download Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai in PDF.