Wahshat Mein Bhi RuKH Jaanib-e-sahra Na Karenge

wahshat mein bhi ruKH jaanib-e-sahra na karenge

jab tak ki tumhein shahr mein ruswa na karenge

ghabra gae betabi-e-dil dekh ke ai jaan

Thahro to abhi hijr mein kya kya na karenge

mar jaun to mar jaun bura manen to manen

phir kaise masiha hain jo achchha na karenge

wo husn mein kaamil hain to hum sabr mein yakta

ta umr kabhi zikr bhi un ka na karenge

chhup chhup ke kahenge jo chhupane ke suKHan hain

hum tum se kisi baat ka parda na karenge

badnami se Darte ho abas ishq mein ai 'barq'

kab tak bashar is baat ka charcha na karenge

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Mein Bhi RuKH Jaanib-e-sahra Na Karenge In English By Famous Poet Barq Mirza Raza. Wahshat Mein Bhi RuKH Jaanib-e-sahra Na Karenge is written by Barq Mirza Raza. Read famous Poem Wahshat Mein Bhi RuKH Jaanib-e-sahra Na Karenge for youth and Student by Barq Mirza Raza. Free Download Wahshat Mein Bhi RuKH Jaanib-e-sahra Na Karenge in PDF.