Aks Har Roz Kisi Gham Ka PaDa Karta Hai

aks har roz kisi gham ka paDa karta hai

dil wo aaina ki chup-chap taka karta hai

bahte pani ki tarah dard ki bhi shakl nahin

jab bhi milta hai naya rup hua karta hai

main to bahrup hun us ka jo hai mere andar

wo koi aur hai jo mujh mein jiya karta hai

rang sa roz bikhar jata hai diwaron par

kuchh diye jaisa dariche mein jala karta hai

jaane wo kaun hai jo raat ke sannaTe mein

kabhi rota hai kabhi KHud pe hinsa karta hai

roz rahon se guzarta hai sadaon ka julus

dil ka sannaTa magar roz baDha karta hai

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Har Roz Kisi Gham Ka PaDa Karta Hai In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Aks Har Roz Kisi Gham Ka PaDa Karta Hai is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Aks Har Roz Kisi Gham Ka PaDa Karta Hai for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Aks Har Roz Kisi Gham Ka PaDa Karta Hai in PDF.