Ba-har-unwan Mohabbat Ko Bahaar-e-zindagi Kahiye

ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye

qarin-e-maslahat hai us ke har gham ko KHushi kahiye

jahan-sazon ko farzana hum ahl-e-dil ko diwana

zamana to bahut kahta raha ab aap bhi kahiye

ba-unwan-e-digar phir hum se qaem kar liya tum ne

wo ek gahra talluq jis ko tark-e-dosti kahiye

samajh kar sang-e-rah-e-shauq Thukraata hun manzil ko

kamal-e-agahi kahiye ise ya gumrahi kahiye

shab-e-mahtab mein akasr fazaon se barasta hai

tilism-e-naghmagi aisa ki jis ko KHamushi kahiye

main akasr sochta hun teri be-payan nawazish ko

ada-e-KHas kahiye koi ya bas sadgi kahiye

bhari mahfil se bhi tishna hi lauT aai nazar apni

KHud-agahi samajh lije ise ya KHud-sari kahiye

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-har-unwan Mohabbat Ko Bahaar-e-zindagi Kahiye In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Ba-har-unwan Mohabbat Ko Bahaar-e-zindagi Kahiye is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Ba-har-unwan Mohabbat Ko Bahaar-e-zindagi Kahiye for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Ba-har-unwan Mohabbat Ko Bahaar-e-zindagi Kahiye in PDF.