Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein

ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein

jis husn se hai chand rawan nil-gagan mein

ai kash kabhi qaid bhi hota mere fan mein

wo naghma-e-dil-kash ki hai aawara pawan mein

uTh kar teri mahfil se ajab haal hua hai

dil apna bahalta hai na basti mein na ban mein

ek husn-e-mujassam ka wo pairahan-e-rangin

Dhal jae dhanak jaise kisi chandr-kiran mein

ai nikhat-e-awara zara tu hi bata de

hai tazgi phulon mein ki us shoKH ke tan mein

dekha tha kahan us ko hamein yaad nahin hai

taswir si phirti hai magar ab bhi nayan mein

is daur mein aasan to na thi aisi ghazal bhi

kuchh fan abhi zinda hai magar mulk-e-dakan mein

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein in PDF.