Na-rasa

mujhe KHwab apna aziz tha

so main nind se na jaga kabhi

mujhe nind apni aziz hai

ki main sar-zamin pe KHwab ki

koi phul aisa khila sakun

ki jo mushk ban ke mahak sake

koi dip aisa jala sakun

jo sitara ban ke damak sake

mera KHwab ab bhi hai nind mein

meri nind ab bhi hai muntazir

ki main wo karishma dikha sakun

kahin phul koi khila sakun

kahin dip koi jala sakun

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-rasa In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Na-rasa is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Na-rasa for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Na-rasa in PDF.