Mujhe Kahna Hai

nahin main yun nahin kahta

ki ye duniya jahannam aur hum sab is ka indhan hain

nahin yun bhi nahin kahta

ki hum jannat ke basi hain

saron par la-jawrdi shamiyane aur pairon mein

nirale zaeqon wale phalon ke peD shir o shahad ki nahren machalti hain

mujhe to bas yahi kuchh aam si kuchh chhoTi chhoTi baaten kahni hain

mujhe kahna hai

is dharti pe gulshan bhi hain sahra bhi

mahakti narm miTTi bhi

aur us ki kokh mein KHwabon ka jadu aane wali nit nai faslon ki KHushbu bhi

chaTaKHti aur tapti saKHt be-his KHun ki pyasi chaTanen bhi

mujhe kahna hai

hum sab apni dharti ki

burai aur bhalai saKHtiyon aur narmiyon achchhaiyon kotahiyon har rang

har pahlu ke mazhar hain

hamein insan ki manind

KHair o shar mohabbat aur nafrat dushmani aur dosti ke sath jina hai

isi dharti ka shahad o sam

isi dharti ke khaT-miTh jaane pahchane maze ka jam pina hai

mujhe bas itna kahna hai

ki hum ko aasmanon ya KHalaon ki koi maKHluq mat samjho

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kahna Hai In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Mujhe Kahna Hai is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Mujhe Kahna Hai for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Mujhe Kahna Hai in PDF.