Mujhe Jina Nahin Aata

main jaise dard ka mausam

ghaTa ban kar jo bas jata hai aankhon mein

dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna le ke jis manzar talak jaun

siyah ashkon ke gahre kohr mein Duba hua paun

mein apne dil ka sona

pyar ke moti

tarasti aarzu ke phul jis dar par sajata hun

wahan jaise makin hota nahin koi

bana hun ek muddat se sada-e-bazgasht aisi

jo diwaron se Takrae

hirasan ho ke lauT aae

dhaDakte dil ke sune-pan ko suna aur kar jae

main apne aap ko sunta hun

apne aap ko chhuta hun

apne aap se milta hun KHwabon ke suhane aaina-ghar mein

to mera aks mujh par muskuraata hai

ye kahta hai

saliqa tujh ko jine ka na aana tha nahin aaya

sadaen pattharon ki tarah mujh par

mere KHwabon ke bikharte aaina-ghar par barasti hain

udhar tara idhar jugnu

kahin ek phul ki patti kahin shabnam ka ek aansu

bikhar jata hai sab kuchh ruh ke sunsan sahra mein

main phir se zindagi karne ke arman mein

ek ek reze ko chunta hun sajata hun nai murat banata hun

dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna mein qadam aage baDhata hun

to ek be-nam gahri dhund mein sab Dub jata hai

kisi se kuchh shikayat hai na shikwa hai

ki main to dard ka mausam hun

apne aap mein palta hun apne aap mein jita hun

apne aansuon mein bhigta hun muskuraata hun

magar sab log kahte hain

tujhe jina nahin aata

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Jina Nahin Aata In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Mujhe Jina Nahin Aata is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Mujhe Jina Nahin Aata for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Mujhe Jina Nahin Aata in PDF.