In ChaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se

in chaTaKHte pattharon par panw dharna dhyan se

Dhal chuki hai sham wadi mein utarna dhyan se

jamid-o-sakit sahi diwar-o-dar bahre nahin

ghar ki tanhai ho phir bhi baat karna dhyan se

kan mat dharna kisi aawaz par kaisi bhi ho

koi roke bhi to raste mein Thaharna dhyan se

dekhna saya kahin koi taaqub mein na ho

shahr ki viran galiyon se guzarna dhyan se

rah mein dekho koi manzar to rakhna zehn mein

phir kahin fursat mile to rang bharna dhyan se

kitne suraj tum se pahle is safar mein jal-bujhe

is jahan-e-tira-KHatir par ubharna dhyan se

waqt ke sath apne andaze ghalat nikle 'bashir'

kis qadar mushkil hai pyaron ka utarna dhyan se

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In ChaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. In ChaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem In ChaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download In ChaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se in PDF.