Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein

har gam pe aawargi-o-dar-ba-dari mein

ek dhyan ka saya hai meri ham-safari mein

ta-hadd-e-nazar pighli hui ret ka dariya

kis samt nikal aae hain ye be-KHabari mein

kis ki tarab-andaz-nazar ghol rahi hai

andoh-o-gham-o-soz mizaj-e-bashari mein

kya koi kahin kunj-e-KHayaban-e-sukun hai

ai dasht-e-gham-e-zist teri be-shajari mein

ai qarya-e-dil dekh guzarti hai isi taur

har shahr pe barbaadi-o-zer-o-zabari mein

ahl-e-talab-o-shauq zamanon se paDe hain

arsa-gah-e-KHud-sozi-o-hairan-nazari mein

lahrae na lahrae wo ab barq-e-KHad-o-KHal

ab hum nahin KHar-e-KHas-e-ashufta-sari mein

ek hamdam-e-derina ki yaadon ki kasak hai

KHushbu-e-KHush-anfasi-e-baad-e-sahari mein

nigaran meri jaanib nigah-e-KHush-hunran hai

kuchh to hunar aaKHir hai meri be-hunari mein

ek tesha-e-sad-para ki surat hain 'bashir' ab

hasil yad-e-tula tha jinhen shisha-gari mein

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein in PDF.