Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun

giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun

azab-e-arsa-gah-e-jabr-o-iKHtiyar mein hun

KHayal hai to abhi DhunDh phir milun na milun

abhi main tere uDae hue ghubar mein hun

bhaDak raha hai badan ruh ko KHabar bhi nahin

ye kya maqam hai ye kaise shoala-zar mein hun

main kaun hun tere nazdik ye sawal nahin

hubab hun ki sadaf bahar-e-be-kanar mein hun

KHud apne aap se har dam hun barsar-e-paikar

main apni zat ke maidan-e-kar-zar mein hun

mein bhed kya tujhe dun be-karan KHalaon ke

ki main azal se isi halqa-e-madar mein hun

talash kis ki hai mujh ko abhi ye kya sochun

'bashir' abhi to main apne hi intizar mein hun

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun in PDF.