Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya

ek be-sabaat aks bana be-nishan gaya

main ganj-e-be-baha tha magar raegan gaya

bhaTka main apni zat ki wusat mein su-ba-su

main apni justuju mein karan ta karan gaya

tahrir ek aur tair ke tahlil ho gai

ek aur naqsh-e-lauh-e-zaman-o-makan gaya

qaem hue dilon ke abad-mauj rabte

ek jumbish-e-nazar mein gham-e-do-jahan gaya

kya kya chhupe na sabz ridaon mein regzar

kya kya na lutf-e-saKHti-e-dasht-tapan gaya

jadu ka tha dayar koi ya tilism-e-wahm

ye dam-zadan mein shahr ka manzar kahan gaya

dar kya khule bashir KHala-e-basit ke

dil se hazar waswasa-e-asman gaya

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya in PDF.