Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha

dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha

phir palak jhapki to kya dekha ki KHud main bhi na tha

ek taDap bijli ki aur diwar-o-dar miTTi ke Dher

ek taDap shoale ki aur dariyaon mein pani na tha

daere banti sadaen chhu ke jab hadd-e-ufuq

apne markaz ki taraf lauTin to kuchh baqi na tha

qaid-e-zindan-e-jasad mein tha ye kab kashf-e-wajud

aur bhi kuchh tha main sirf ek paikar-e-KHaki na tha

kya KHabar tum ne kahan kis rup mein dekha mujhe

main kahin moti kahin patthar kahin aaina tha

den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se

koi saat koi lamha koi pal KHali na tha

aarzu lal-o-gohar ki kis liye karta 'bashir'

harf-o-mani ka KHazina kya use kafi na tha

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha in PDF.