Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua

juda bhi ho ke wo ek pal kabhi juda na hua

ye aur baat ki dekhe use zamana hua

na puchh mera pata mauja-e-hawa hun main

bhala hawa ka bhi koi kabhi Thikana hua

har ek samt sahife khule paDe the yahan

tera nasib ki tu harf-ashna na hua

panah milti kise meri kibriyai se

KHuda ka shukr main banda hua KHuda na hua

is apni khoj mein kya kya khule na bhed magar

main hun bhi ya ki nahin mujh pe aaina na hua

nida-e-ghaib thi teri sada thi dhaDkan thi

mere shuur se itna bhi faisla na hua

shajar to rah ka saya hain un ko kya malum

kahan se aaya musafir kidhar rawana hua

faqir ho ke liya tu ne kya 'bashir' ki jab

galim-posh bhi tu ho ke ba-safa na hua

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua in PDF.